Mandavi
Unnat takdir hu main
January 22, 2019 in हिन्दी-उर्दू कविता
Tere baap ki jaagir nhi ..
samaj ki unnat takdir hu main
Tere manoranjan ka saaman nhi …..
saahas,sakti prem daya ka pramaan hu main
Kaanto bhara gulab hu main …
chune ki koshih ki toh lahu bahega ……
dil hai mera mom ka par aatma pavitra paashaan hai…
..sadiyon ka pramaan hai ki naari samaj ka saaman hai
……mat khel mujhse kyunki mere rom rom mein swayam basta bhagwan hai…..