Author: Anshu Saroj

  • Mere Marne Ke Baad

    Mere Marne Ke Baad
    Meri Kahani Likhna,
    Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,
    Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse, Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,
    Aur Likhna Ki Uska
    Intezaar To Bahut Tha,
    Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,
    Likhna Ke Marte Waqt Bhi
    Deta Tha Dua Tujhko,
    Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishani likhna.

New Report

Close