Author: Prem kumar

  • Sawan Aaya

    Baadal aaye aur hain barse
    Loag kahte hain sawan aaya.
    Dharti thi tapti
    Aag thi barasti
    Jalta tha har ek badan bhi
    Iss sawan ki phuhaar ne
    Kitni rahat di in sab ko
    Haan priyey yeh sawan aaya.
    Iss pal priyey Tum jo hotien
    Hotien jo tum
    Hota aalingan
    Bheegta tann mann
    Lagti ik agan
    Tum jal apsra si lagtien
    Aur main tumhein bahoon mein layta,
    Priyey kitna anand tab hota
    Sawan mein tera sangg jab hota.
    Par priyey tum kya jaano
    Iss sawan mein
    Dooor desh mein
    Thaka haara main ik rahi
    Tere milan ki aas mein
    Saans hoon layta
    Aankhien hain tarasti
    Aankhien hain barasti
    Haan priyey yeh sawan aaya.

New Report

Close