Arz Kiya hai…
Ke zikar uski nigaahon ka , uske noor ka ..
Ab m kisi haal se nahi kartaa…
Beshak se yeh har saans meri, deti hai gawahi uske bewafa hone ki…
Par yakeen maano Mera ab m usko yaad nhi karta ..
Aur maaloom h yeh bhi mujhe ki voh baate toh meri karta hai..par afsos ab voh mujhse baat nhi karta ..
Author: Rohit Kashyap
-
Uska zikar
-
Uska laut kar ana
Arz kiya hai..
ek mohabbat meri nahi smjhe tum,
toh yeh bichadna tumhara laazmi tha…
par yeh toota dil bhi naa thaam sake toh…
fir yeh ashqo m bikharna tumhara laazmi tha..
aur yu laut kar ana tumhara .. haath m marham liye…
fir tumhe aata dekh.. mera zakhm chupana bhi laazmi tha