Anjaan

Kya anjaan hai hum isse
Umar guzar gayi jise banane mein
Kya ajnabee hai hum phirse
Iss humare banaye jamaane mein

Kya mashroof hai hum itne
Naa theherte pair manaane se
Kya tashreef hai woh jisme
Naa milta vakt jatane mein

Kya guroor hai ya darr
Joh bhag rahe ho na batane pe
Kya wajood hai uss shaqs ka
Aur kya kami reh gayi iss diwane se

Related Articles

Responses

+

New Report

Close