Author: Yash Yadav

  • Log kahte hain sawan aaya

    Baadal aaye aur hain barse
    Log kahte hain sawan aaya
    Dharti thi tapti
    Aag thi barasti
    Jalta thha har ek badan bhi
    Is sawan ki phuaar ne
    Kitni raahat di in sab ko
    Haan priyay yeh sawan aaya
    Iss pal priyay tum jo hotien
    Hotien jo tum
    Hota aalingan
    Bheegta tan man
    Lagti ik agan
    Tum ik jal apsra si lagtien
    Aur main tumhein baahoon mein layta
    Priyay kitna aanand tab hota
    Sawan mein tera sang jab hota.
    Par priyay tum kya jaanon
    Iss sawan mein
    Dooor desh mein
    Thhaka haara main ik rahi
    Milan ki aas mein saans hoon layta
    Aankhein hain tarasti
    Aankhein hain barasti
    Haan priyay yeh sawan aaya

  • Happy Independence Day

    Watan hamara misaal mohabat ki,
    Todta hai deewaar nafrat ki,
    Meri Khush naseebi,
    Mili zindagi is chaman mein Bhula na
    Sake koi iski khushbo saton janam mein.
    Happy Independence Day!

    – Yash

New Report

Close