Log kahte hain sawan aaya

Baadal aaye aur hain barse
Log kahte hain sawan aaya
Dharti thi tapti
Aag thi barasti
Jalta thha har ek badan bhi
Is sawan ki phuaar ne
Kitni raahat di in sab ko
Haan priyay yeh sawan aaya
Iss pal priyay tum jo hotien
Hotien jo tum
Hota aalingan
Bheegta tan man
Lagti ik agan
Tum ik jal apsra si lagtien
Aur main tumhein baahoon mein layta
Priyay kitna aanand tab hota
Sawan mein tera sang jab hota.
Par priyay tum kya jaanon
Iss sawan mein
Dooor desh mein
Thhaka haara main ik rahi
Milan ki aas mein saans hoon layta
Aankhein hain tarasti
Aankhein hain barasti
Haan priyay yeh sawan aaya

Related Articles

Responses

+

New Report

Close