Duniya ke iss shor mein dhundh raha tha apni awaaz

“Duniya ke iss shor mein dhundh raha tha apni awaaz.
Dil tu kyu hai mujhse naraaz.
Ek baar mujhe apna karke toh dekho,
aasmaan ko gale lagakar ke toh dekho.
Najane yeh kaunsi galti hai,jiska afsos abh ho raha hai mujhe.
Beete hue kal mein kyu the hum itne uljhe,
ki aaj ka maza nahi utha par rahe hai hum.
Thak chuka hoon mein khudko samjhate samjhate.
Mann karta hai ek baar tumse baat karlu,
ek aakhri baar apne aakhe bhar loon.
Khudki nahi mein sun paraha tha apni awaaz.
Dil aakhir tu kyu hai mujhse naraaz.
Thak gaya hoon mein iss shorr mein dhundhte dhundhte apni awaaz.”

Related Articles

Responses

+

New Report

Close