Ek Tanha Musafir

ek tanha musafir tha main zindagi ke safar mein;
ek manzil ki tallash thi jeevan ke dagar mein;
ek khushi ki aas thi kisi apne ka rumana tha;
kehta tha sabko main apna magar har koi begana tha;
kuch dard tha judai ka kuch kuch sitam yaddon ka tha;
jhooti thi kasme rishton ki kuch tut-ta arman jhoote wadon ka tha;
bhatakta tha mein kafilon ki tarha ho koi apna mera aisa ye sapna tha;
tooti har khwaish meri toota har armaan mera;
na jeene ki kuch aas thi na koi hasti thi na koi naam mera; 
har koi mujhko sattata tha har koi mujhe rula ta tha;
tanhai itni hui gehri ke sannata bhi mujhko bulata tha;
jub chod jata tha koi apna mujhe kehte the yaad karenge;
naa bhoolenge tumko kabhi fir mulakkat karenge;
mulakat to na hui na koi khabar unki milli;
meri zindagi to bus jaise hai yadoon mein jali;
har masjid mandir gurudware mein main fariyaad karta tha;
bus khuda ki rehmat se khud ko abbad karta tha;
na koi roshni thi na koi rang tha;
akela tha main bus mera saya sang tha;
jaise andhere mein kisine deep jalaya ho;
mere dil ko mere zakhmo ko ibaadat se sehlaya ho;
wo saathi mila mujhko meri manzil mujhko mili;
jaise barso ghum ki baarish ke baad mujhko khushi mili;
wo rakhta tha mujhe pal pal sath apne;
main dekhta tha khwab wo sajata tha sapne;
bus taqdeer kuch aisi rahi jaise rootha ho khuda;
aakhir kar wo saathi bhi hogaya juda;
mujhe firse dard ne rulaya;
mere mann mere armano ko jalaya;
kuch maheene beete kuch barson beete;
uske intezzar mein jamane beete;
fir yaad ayi zindagi ki haqeeqat;
ki roshan hoga mukkadr na hogi koi ulfat;
bus umeed na chodunga uske aane ki;
koshish poori karunga usko paane ki;
ek naya hoga daur shuru kuch banke main dikhlaunga;
apni mehnat apni lagan se us manzil ko main paunga;
honsla jo banaya maine khuda ne mera saath dia;
mehki hui baharoon mein maine khushi ka ehsaas kia;
wo saathi mila mujhko mera humsafar bangaya;
panauti ko mili taqdeer jaise mera vazood mujhko milgaya;
bhadti rahi zindagi yuhin uske saath chalta raha;
khushi se jeene laga main wo khushi deta raha........................................

Related Articles

Responses

+

New Report

Close