ek tanha musafir tha main zindagi ke safar mein; ek manzil ki tallash thi jeevan ke dagar mein; ek khushi ki aas thi kisi apne ka rumana tha; kehta tha sabko main apna magar har koi begana tha; kuch dard tha judai ka kuch kuch sitam yaddon ka tha; jhooti thi kasme rishton ki kuch tut-ta arman jhoote wadon ka tha; bhatakta tha mein kafilon ki tarha ho koi apna mera aisa ye sapna tha; tooti har khwaish meri toota har armaan mera; na jeene ki kuch aas thi na koi hasti thi na koi naam mera; har koi mujhko sattata tha har koi mujhe rula ta tha; tanhai itni hui gehri ke sannata bhi mujhko bulata tha; jub chod jata tha koi apna mujhe kehte the yaad karenge; naa bhoolenge tumko kabhi fir mulakkat karenge; mulakat to na hui na koi khabar unki milli; meri zindagi to bus jaise hai yadoon mein jali; har masjid mandir gurudware mein main fariyaad karta tha; bus khuda ki rehmat se khud ko abbad karta tha; na koi roshni thi na koi rang tha; akela tha main bus mera saya sang tha; jaise andhere mein kisine deep jalaya ho; mere dil ko mere zakhmo ko ibaadat se sehlaya ho; wo saathi mila mujhko meri manzil mujhko mili; jaise barso ghum ki baarish ke baad mujhko khushi mili; wo rakhta tha mujhe pal pal sath apne; main dekhta tha khwab wo sajata tha sapne; bus taqdeer kuch aisi rahi jaise rootha ho khuda; aakhir kar wo saathi bhi hogaya juda; mujhe firse dard ne rulaya; mere mann mere armano ko jalaya; kuch maheene beete kuch barson beete; uske intezzar mein jamane beete; fir yaad ayi zindagi ki haqeeqat; ki roshan hoga mukkadr na hogi koi ulfat; bus umeed na chodunga uske aane ki; koshish poori karunga usko paane ki; ek naya hoga daur shuru kuch banke main dikhlaunga; apni mehnat apni lagan se us manzil ko main paunga; honsla jo banaya maine khuda ne mera saath dia; mehki hui baharoon mein maine khushi ka ehsaas kia; wo saathi mila mujhko mera humsafar bangaya; panauti ko mili taqdeer jaise mera vazood mujhko milgaya; bhadti rahi zindagi yuhin uske saath chalta raha; khushi se jeene laga main wo khushi deta raha........................................