Firse udna hai

ab dar ki ankho ki geharayiya bhi kam lagti hai

kyonki uchaiyo se bhare hai sapne

har koi nhi chu pata inn uchaiyo ko ek bar me

inko pane ke liye hare hai kitne

chahe hare ho tum hajar bar bhi

fir bhi kehna hai ,age or bhi ladna hai

hume fir se udna hai

fir se udna hai ese ki

kisika garv ban saku me

ab chahe kitne bhi dukh ho

tab khudka hi naya parv ban sakhu me

kamyabi ese hi nahi ati, vo ati hai

kai adato ka tyag bankar

kai sukhe tano ke liya aag bankar

kai rato ki udi nindo se arram bankar

kai jalti dophro se taro ki sham bankar

ab tutna hai , girana hai, padhana hai,

apne sapno ke liye adana hai

age kitni bhi mushkile ho

fir bhi fir se udna hai

Related Articles

Responses

+

New Report

Close