Kabhi toh miloge tum mujhe
![](https://www.saavan.in/wp-content/uploads/2023/06/IMG-20230209-WA00373.jpg)
Kitna acha lagta hai na jab Hume koi Aisa mil jae jiske saath zindagi beetane ka maan kare,
Par jab tak koi Aisa na mile kya hume uss lamhe ke intezaar me rehna chahiye, ya phir iss lamhe me khul ke jeena chahiye?
Isi sawal ke saath maine ek din pen uthayi aur apni diary me likha
Kabhi toh miloge tum mujhe
Khaha kaise kab nahi pata
Par uss lamhe ke intezaar me mai nahi hun
Mai toh uss intezaar ko jee rahi hu
Iss adhoore khwaab ke adhoore pan ko din par din aur nikhaar rahi hu
Meri maddham si hasi ko khilkhilati hui hasi me badalne ke liye
Mere sath baithkar yeh jaan ne ke liye ki kaisa tha mera beeta hua kal, aur kisne mujhe kitne dhoke diye
Mere baalon ka jab mai sawaru toh mujhe niharna
Agar kisi din mai tumhe galat bhi lagu toh darkhwast hai tumse ki mujhe swikarna
Mere pagalpan me hum sath hi kho jaenge
Phir kisi suhani si subah ko ek dusre me khud ko khoya hua paenge
Andheron ke dar ko mere sath tum jeena
Meri banai Hui adrak wali chai ko chuskiya lekar peena
Meri aankhe padh pao ya nahi kam se kam mujhe kitaab samjhkar mera har panna sambhal kar rakhna
Kisi din dil bhar aae toh sochna nahi bass mere pass baithkar sisaskna
Duniya ki bandishon ko piche chodkar mujhe sapno ke baare me ghanto batana
Apne andar ke samandar ko batorkar mere saath ek unkhaha rishta nibhana
Agar tum duniya ke uss paar ho aur mai iss paar
Phir bhi jayaas hi hoga apna pyaar
Ab ise pyaar kahu ya intezaar ya khahu sapno ki duniya me dub jana beshumar,
par kuch toh hai yeh.
Kuch aisa jo tumhe mujhse bandhta hai aur mujhe tumse.
Responses