Khamoshi ke alfas

Ankhon se jab bhi yeh Ansu girte hai na, Tab me khudko taash ke paton ki tarah bikhra hua pati hoon.

Kabhi Khojti hoon, kabhi yaad karne ki koshish karti hoon, Toh kabhi smjhati hoon, Aur pal bhar mei main phir se bikhar jati hoon.

Koi puchta hai ki kya gum hai?
Toh muskurake unke Sawalo ke jawabon mei thoda gaur farmati hoon,
Par phir bhi apas mein lipte hue un dhaagon ki tarah, khudke khayalon mein hi ulajh jati hoon.
Suljhana chahu bhi, toh kache dhaagon ki tarah me phir se toot jati hoon.
Gaanth bandh ke un jawabo ko bunna chahun bhi toh, main phir se khudke jawabo mein khudko tootawa pati hoon.
Sochti hoon, Un gaanthon ko ginti hoon par yeh nahi samajh pati ki mere shabd meri hi tarah kamjor hain, Ya bas man hi man gussa kar chup ho jati hoon.

Kabhi na khwaishein rakhti hoon, aur na hi koi umeed.
Kyuki kehte hain umeedein sheeshe ki tarah hoti hai.
Saaf ho toh sab kuch khoob dikhta hai, or daag ho toh sab kuch dhundla sa.
Bhut najuk hota hai yeh sheesha,
Pal do pal me toot jata hain, bilkul meri umeedon ki tarah.

Sochti hoon ki phir se kuch yaadon ko ek dibbe me band kar, samet ke, door usi nadi mein fek doon.
Jahan Vo gille, vo shikwe sab kuch jo us ek dhaage me pirokar apne gale mein pehna tha mene.
Vo taweez jisne Har baar mujhe toota hua dekha tha,
Har raat jo mere ansu ki boondein palkon se giri thi uspe,
Bas usi doosre taweez ko ek purane dibbe me band kar kahin door fekna chahti hoon.

Main us nadi ke kinare phir se jana chahti hoon, jahan mene apne har bure waqt ko ikhata kar feka tha.
Dekhna chahti hoon main, ki aaj bhi meri ankhein utni hi num hoti hai ya nahin.
Kya aj bhi main, un palo ko yaad kar sisak kar ro pati hoon ya nahin.
Kya aj bhi, mere andr utni himmat h us bakse ko kholne ki.

Dekhna chahti hoon main,
Kya aaj bhi mere kapkapate hathon ki ungliyo ko thamke, meri ankhon se mere bikharte hue sapno ko jodne wala koi hai ya nahi…..

Main bas ek baar phir se, us dard ko mehsoos kar Kisika haath thamke aage badhna chahti hoon.
Maain ab us har lamhe ko bikhar kar sambhal kar jeena chahti hoon….

Related Articles

Responses

+

New Report

Close