Kya aaj bhi woh bachpan baaki hai?

Kya aaj bhi wahi bachpan baaki hai?

Bachpan ki yaadon ko samet paana thoda mushkil hoga, itni yaadon ko sahej ke rakhna thoda mushkil hoga, hain zehen mein aaj bhi yaadein taaza unhein bhoolpaana thoda mushkil hoga .Hai zindagi kya bas yaadon ka safar usmein bachpan ko phir doodh paana thoda mushkil hoga.

Gujarte hain aaj apne mohalle se toh poochta hai woh shehtoot ka ped ki kahan ho tum tarasti hain nighaaein tumhein dekhne ko ki aao chado aur todo humein ki aaj hum milte hain bazaron mein mart mein lagaate hain mol log humaara par jab todke khaate the tun toh lagte the tum apne se humein kya aaj bhi woh rishta baccho ka us shehtoot ke ped se baaki hai ?

Kya aaj bhi woh beparwaahi apnapan baaki hai?

Maarte the beparwah challang baarish ke pani mein banaate the mitte ke ghar kya aaj bhi woh bachpan ki shararat baaki hai?

Woh door door tak jaana ramleela ke maidan mein ramleela dekhne,woh kuch paiso ki barf wala gola khaa ke bhi khushi se ji bhar aana kya woh khushi ab bhi baaki hai?

woh dusshera woh diwali ka milna woh meethi Eid par doston ke ghar jaakar sheer kurma khaana kya woh apnapan aaj bhi baaki hai?

Bachaate the chawaaniyan apno ko tohfe dene ke liye mahino mahino tab jebe choti dil bade the poocho zamaane se kya aaj bhi wahi apnapan baaki hai?

Sab dhul sa gaya hai zamaane ki daud mein aaj baccho se poocho kya bachpan baaki hai?

Related Articles

Responses

+

New Report

Close