Kya hota hai pyaar?

Pyaar ishq mohabaatt yeh kuch hota hai kya?

Ya yeh ek jariya hai apna pan mehsoos karvane ka.

Agar yeh ek jariya hai toh kya yeh humesha rahega

Ya sumudr ki lehro ki tarah kabhi kabar kinare se Milke chale jaayega

Kya pyar ki ek hi paribhasha hai?
Agar haa toh mera ishq uske ishq se alag kaise hai

Aur agar nahi toh kaunsi paribhasa sahi hai?

Agar kurbani dena mohbatt hai toh iska matlab toh ek baap se jyada uski beti ko koi nhi cha sakta

Aur agar jism ke lagav ko pyar kehte hai toh kya ek baap apni beti ko pyar karta hai?

Agar pyar karne se log ek hote hai toh kanhaji aur radhe alag kyu hai?

Agar pyaar anmol hai toh ek gareeb se pyaar karne pr samaj tana kyu deta hai?

Aur agar vohi paisa dekh kar pyar kare toh samaj use lalach ka naam de deta hai.

Isme se kauna tarika ishq karne ka sahi hai, aur agar vohi saki hai toh baaki galat kyu?

Apne mann se pucho ki ishq pyar mahobatt kuch hota hai kya?

Ya yeh ek jariya hai apnapan mehsoos karne ka.

Related Articles

Responses

+

New Report

Close