Mai Karen Sakta hoon

September 30, 2018 in हिन्दी-उर्दू कविता

Kabhi kabhi Mai sochta hoon
Mai kya kar Sakta hoon
Samaj ki rudhiyo se
Bandkar jee Sakta hoon
Julm sah Sakta hoon yaa
Julm karke khus ho Sakta hoon
Sach bataye Gaye jhooth Ko
Apna Sakta hoon yaa
Soup Sakta hoon saara Jeevan
Satya ki talaash me
Jaise bhatakta hai hiran
kastoori ki aas me
Purane paribhashao se
santoost ho Sakta hoon yaa
Nayee paribhashae Dhoondh Sakta hoon

Kabhi÷kabhi Mai sochta hoon
Mai kya kar Sakta hoon
Kaise karoon kisi sabhyata ka vishvash Mai
Hajaroon mrig Trishna hai ,
Vicharoon ke Aakash me
Nahi mil Rahi hai mujhe
Apne vichaar prakat karne ki aajadi
Is gantantric samaaj me.
Unmat ho Rahi hai meri vyakulta
Mere hi hridya ke aawas me.

Mai puchata hoo Apne AAP se
His tarah ki baatein kar Raha hoon
Kya vahi vicharoon ki Kranti
laa Sakta hoon is sansaar me
Kya sachaai ki ieent se
ghar Bana Sakta hoon yaa,
Using tarkviheen choukhat pe
Dam today Sakta hoon
Kya nayee peedhi Ko sarvgrahit nayee soch de Sakta hoon yaa
Using samaaj ki rudhiyoo se
Bandhkar jee Sakta hoon
Kabhi kabhi nahi hamesha
Mai sochta hoon
kya Mai ye kar skata hoon

Shivam shandilya