my poem
Ashankit bhaviysya-title
Sapno ke shahar mai sobhamayi drishya
usme duba ek ashankit bhaviysa
adhuri umeed liye ji rahe hain
pata nahi kyun sab sah rahe hain
ki thi ujwal bhaviyshya ka kamna
par yahan kiya sacchai ka samna
jarjar karta is sharir ko
yeh ashankit bhaviyshya
girkar sambhalun bhi toh kitna
khsin hota mera utsah har bar
tute ,bikhre sapne barbar
yeh bhi toh sach hai asahay
ko ishwar ka sahara hai
par mere antarman ka dukh gahra hai
ab toh bas ek hi hai aas
bas prabhuji par hai ab biswas
mana maine ab antarman ko
majbut karna hai..
is ashankit bhavishya se ab
nahi muje darna hai…..
nice
thank u