Ranjish hi Sahi….

Tumne mere dil mein gussa jagya hai,
Jo ranjishein di hain tumne, kabhi socha hai use kaise bhulana hai?

Humare ishq ki raushni ko tumne kuchh iss tarah aag di..
Ke dhuan to tum hue, or dil mera jal utha.

Dil to ab bhi mera ghum se bhara hai,
Tumne khushiyan jo chheeni hai meri,
Par khud ko tanha paakar bhi iss dil ne yaad tumhi ko kiya hai..

Humsafar the na hum to?
Fer kyun iss tarah mujhe ranjishon se rubaroo karvaya..?!

Tumhari is berukhi ke chalte, mera dil doob gya.
Tumne khud ko mujhse chheenkar,
Mujhe mujhse hi juda kar diya?!

Sach batao…? Kya itna bezar ho chuke the mujhse?
Ke dil ko mere ranjish ki chaadar se udaana behtar samajh baithe..

Kasoor kya tha mera?
Ye bayaan to karte jao….
Iss berang hui zindagi mein ferse kuchh rang to bharte jao….

Har keemat par tumse mohabbat karne ki kasam khaayi thi naa…
To agar ranjish hi thi keemat,
To ranjish hi sahi!

Related Articles

Responses

+

New Report

Close