Situationship

Situationships,
Merko pyaar hai ,
Ky usse bhi hai?
Thande thande hawaon me,
Highway ke chotisi dukan me
Garam garam chai pite pite,
Humare jism bhi garam honeke liye taras rahe the,
Uski muskurahat dekh kar usse hasate rehneka mera man kar raha tha,
Chai pite pite joh baatien ho rahi thi ,
Shyd woh humne kabhi kisise na ki ho,
Usko hooton ki chamak,
Uski bhoore ankhe,
Uske kaale baal,
Sab masum se zyda pyaare lag rahe the,
Saath 2 saal hogaye the,
Casual tha,
Kyuki usse master’s ke liye abroad Jana tha,
Usne chai baju me rakhte hue kaha
‘ Mujhe kuch kehna hai’
‘ Kya’
‘ I finally got admission in Canada and I’m leaving within two days’
Dil Tut Gaya,
Merko pata tha yeh din ayega,
Mera pyaar batadu?
Par kya woh rukega?
Nahi me rok nahi sakti,
Par batake bhi agar rukha nahi toh ,
Dil Tut jayega,
Woh apne sapne batraha tha,
Aur merko mere sapne tute hue dikh Gaye,
Nahi bataya Maine bs,
Nahi batyungi,
Usse meri pasandita adhuri khwaish rehnedungi,
Puri zindagi!

Chai dukhan ke radio me gana bajne laga
” Dil ko tumse pyaar hua , pahili bar hua, tumse pyaar hua”

Related Articles

Responses

+

New Report

Close