Kuchh yaadein..

Ek waadaa phir Milne ka bs wada bhr rah jate hain
Bah jata hai samay ka dariya wo udhar- hum idhar rah jate hain

Nikal jate hai door bahut pichhe ojhal saare ho jate hai
Prr jati hai dhul yaado pr khandahar nazaare ho jate hai

Ujarr jati hai duniya sb registaan sa ho jata hai
Tadipaar ho jati khushiya,hara-bharaa sb viran ho jata hai

Haqiqat fasaanaa ho jata hai,atit ban jataa hai
Itfaaq ki mitha ghol bhi neem ka tit bnn jata hai

Shayad hi mil paate kbhi,jaise dharti aur aakash milte hai
Lekin na wo pariwesh milte,naa ehsaas milte hai

Gaarri badh jaati hai,sawaari chhut jaate hai
Jiska kuchh chhut jata mano wo lutt jate hai

Hrr chij badalti hai,badlaav prakriti ka niyam hai
Kahin geet khushiyo ki kahin gamo ka maatam hai
Aaj Jo vartmaan hai kal wo atit ho jati hai
Kabhi-kbhi preet bhi dard ki tees bann jati hai

Hai daastaan apni apni koi tut krr girr jate hain
To koi bahaar-e-aasmaan mei taro ki tarah timtimate hain.

Related Articles

Responses

+

New Report

Close