Maa…..!
Jis Ghar Main Maa Ki Ezzat Nahi Hoti
Us Ghar Main Kabhi Barkat Nahi Hoti
Na Karo Kabhi Apne Maa Ka Apmaan
Maa Koi Dikhawe Ki Sohrat Nahi Hoti
Jo Karte Hai Apne Maa ki Ezaat
Unko Zindagi Main Kabhi Koi Dikkat Nahi Hoti
Hamesha Karo Sewa Maa Ki Niswarth Bhaav Se
Maa Ki Sewa Karne Ki Koi Mohlat Nahi Hoti
Badi Kathinaai Se Wo Paalti Hai Hamko
Kaun Kehta Hai Maa Ke Mamta Ki Koi Kimat Nahi Hoti
Thakaan-e-Shikan Dikhti Nahi Maa Ke Chehre Per
Hamare Daanthne Per Kya Unki Zillat Nahi Hoti
Maa Ke Daanth Main Bhi Pyar Barasta Hai
Hamare Aankh Dikhane Per Kya Wo Bezzat Nahi Hoti
Maa To Maa Hai Uski Mamta Anmol Hai
Uske Pyaar Ki Koi Kimat Nahi Hoti
Hamesha Chahti Hai Wo Apne Bacchoon Ko
Uske Dil Main Koi Khoot-e-Niyat Nahi Hoti
Jis Ghar Main Maa Ki Ezzat Nahi Hoti
Us Ghar Main Kabhi Barkat Nahi Hoti……….!!
!!……DK……!!
Maa Ki Ezzat 🙂