Kagzi

June 12, 2015 in हिन्दी-उर्दू कविता

kagzi si yeh nigaheen
karti hain kya kya bayain
rahna chahu dar pe uskey
yaar mujhko na jaga

kahna chahun,kah na pau,
chahu yeh nazdikyan
tujme uska aksh basa hain
tu ho ja mujhme hi fana

pyar tujhko etna duki
hare mujhse sara jahan
meri aqidat ko tu sun le
aye mere dil bar jahan

kagzi si yeh nigaheen
karti hain kya kya bayain
rahna chahu dar pe uskey
yaar mujhko na jaga

Adat

June 12, 2015 in हिन्दी-उर्दू कविता

meri adat hain tu,
meri ebadat hain tu,
mere zindangi ka maksad hain tu

ab ak pal bhi jiya jaye na,
mere sasoon ko ak pal chain aye na,
mere sarey abb chupa do tu bas bol ke toh dekh,
tujhpe zindagi luta doon tu bol ke toh dekh

puri kaynaat luta doon,
tu bas kar de bayan,
mere es zindagi ko
toh tu kar de nawa

teri bejuban batien kya karti bayan,
ab na janey es pyar ko du kya zuban,
tujhmey us ka noor jaroor hain basa,
nahin toh mujhe na milta tujhmey khuda

Chod Chala Anchal

June 12, 2015 in हिन्दी-उर्दू कविता

Pakiza si hain teri nazar,
mujhpe zaya na kar,
mera thikana dhund raha hun main,
apna estakbal tu bewajaha zaya na kar
chod chala hun main teri gali,
dur bahut dur,
yun ratoon ko mere khwabo main aya na kar,
tera dedar karaya khuda ne eska shukriya,
mere dil ke har chod pe tera agaz hain,
hamesha rahega,
sun ke apna waqt zaya na kar

kalam meri phir se chal rahi,
esliye tera shukriya,
apney es khadim ki ebadat tu kabul kar,
apney ap se khusnuma toh ak swang hain,
hosh main rahney ka toh yeh ak ghuman hain

Waqt ke es modh pe na hoti zindagi,
toh shayad haley dil ke peshkash hum karte,
tu thukrati toh kya hua,
tere tarif ke hi kalmey hum likhtey

Rabba

June 12, 2015 in हिन्दी-उर्दू कविता

rabba de de mujhe tera shukarana,
mujhe teri gali hain jana,
teri batoon main kya jadu hain,
bas ban gaya hun tera dewana

mast mauji ban gaya hun main,
apney ap main khushnuma hoon main,
yeh tere pyar ka nasha ya kiska nasha,
yaaroon gali bhi mithi lagey hain
teri ebadat ka na pata usul,
dekhta hain tu sab main hi rasul,
mujhey apni aur khich le tu,
tere dar pe dhundun main apna sukuu

sufi jaisa haal hain mera,
tuney bin mangey etna kuch de diya,
es fakir ko thori aur rahmat baksh,
apney aksh ka tu de de nazrana

rabba de de mujhe tera shukarana,
mujhe teri gali hain jana,
teri batoon main kya jadu hain,
bas ban gaya hun tera dewana

New Report

Close