by Rasajna

Bheed me tanhai

March 12, 2017 in हिन्दी-उर्दू कविता

Hazaron logon ke beech rehti hu mein

Par apna mera koi saath hai nahi

Hasti toh rehti hu mein hamesha yunhi

Par khushiyan meri kahi kho so hai gayi

Aansu ponchne wale log hai aaspaas

Mera dard bantnewala koi hai nahi

Lagta hai bilkul akeli khadi hu mein

Kisi ajnabee sheher ke sadak par

Badi ajeeb ehsaas hai yeh jaise bheed me tanhai

Bheed me tanhai……….

by Rasajna

March 11, 2017 in हिन्दी-उर्दू कविता

Tere aankhon me maine pyaar dekha hai

Mere liye jaag utha aitbaar dekha hai

Kabhi gussa, kabhi pareshaani dekhi hai

Kabhi sharaarat kabhi nadaani dekhi ha

Haar ke aansu, jeet ki khushi dekha hai

Kabhi na tootne wale housle ko dekha hai

Sach kahu toh tere aankhon me,

Maine apni ek parchayi dekhi hai

Woh parchayi jo mujhe himmat deti hai

Mujhme nayi aashaye jagaati hai

Kabhi hasaati, kabhi rulati hai

Khud ki acchhayi ka ehsaas dilaati hai

Mujhe woh parchayi khud se  pyaara hai

Kyonki woh parchayi tere aankhon me hai

Tere un pyaare aankhon me hai……..

by Rasajna

March 11, 2017 in हिन्दी-उर्दू कविता

Aasu zaroor hai mere aankhon me
Par yeh khushi ke hai ,gham ke na samjho
Ruk zaroor gayi hu mein
Par mein dar gayi, yeh bilkul na socho
Darti nahi mein zindagi se
Sirf use samajhne ki deri hai
Haara nahi hai man mera
Sirf khud ko sambhalne ki deri hai
Aankhein moond liye hai Maine
Mein khud ko dekhna chahti hu
Ankhon ke neeli jheel mein nahi
Dil ke saagar me doobna chahti hu
Phir jab pehchan loongi mein khud ko
Aage badungi mein apni raah pe
Won raah Jo aasman se ooncha jaata hai
Khoobsurat sitaron ke beech mein
Haan….wahi chamakte sitaron me 

New Report

Close