maloom hai tum nahi ho, par fir bhi tum ho!

July 7, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

maloom hai tum nahi ho, par fir bhi tum ho
jaise hawaon mein mitti ki khusbu kahin gum ho
haan, bus waise hi tum ho!

do hisse hain mere, ek pyar karta tha tumse or ek nafrat karna chahta hai
dono hi bhul nahi sakte tumko,thak- haar kar bus yahi nazar aata hai
pyaar jo kiya tha tumse aur nafrat jo karna chahti hun
bus in dono ke beech mein hi, kahin atak kar reh jati hun
jaise aankhon mein nami hai haan ,bus waise hi tum ho
maloom hai mujhe tum nahi ho, par fir bhi tum ho !
mahine- saal beet rahe, par ab tak tumhare na hone ki sachai manzoor nahi
yaadein abhi bhi waisi hain,itni jaldi haar maan jayein aisa inka guroor nahi
jab bhi lait ti hun aankhein munde,
toh in yaadon aur sachai mein tum ho
lagta hai ab toh meri parchai mai tum ho !
ilm hai mujhe ki tumne nayi duniyaa basaa li hogi,shayad khus bhi hoge
main agar punchon toh shayad keh bhi doge ,ki bus ab tum wahin rahoge
par suno ! jaane- anjaane aaj bhi meri duniyaa mein tum ho
jaise raat ke andhere mein shor kahin gum ho, bus waise hi tum ho
pata hai mujhe ab tum nahi ho, par ab maan bhi lo…. ki tum ho !!

-sneha