Navratri Pooja

Mitti ka tan hua pavitar Ganga ashnaan se
Antah karan ho jaaye pavitar Jugdembe ke dhayan se
Sarv Mangal Maanglay Shive sawarth sadhake
Sharnaye Triyambke Gorry Narayani namohustute
Shakati shakati do mujhe karu tumhara dhayan
Path nirvighan ho tera sabka ho kalyaan
Hirday sainghasan per aa baitho meri Maat
Suno vinay mum din ki jug janani vardaat
Sunder Deepak ghee bhara karu aaj taiyaar
Gayaan ujaalla Ma karo metto moh andhkaar
Chandar Suray ki roshani chamke Vandna ankhand
Sab main vayapak tej hai jawala ka pranchand
Jawala jug janani sabki raksha karo hamesh
Door karo Ma Ambinka sabke sabhi kalesh
Shardha aor vishwaas se teri jayot jalaau
Tera hi hai asra tere hi gun gaau
Teri adhBhudh gaatha ko padu main nishchaye dhaar
Sakshaat darshan karu, tere jagat adhaar
Man chanchal se path ke samaye jo aogun (awgun) hoye
Daati apni daya se dhayan na dena koi
Main anjaan malin man, jaanu na koi reet
Aat pat vaani ko hi Ma samjho meri preet
Vandna ke aogun bahoot, karma na Ma dhayan
Singh vahini ma Ambike karo sabka kalyaan
Dhanye dhanye ma Ambike Shakati Shiva vishal
Ang ang main rum rahi Daati Din Dayal!!! (NM)
वाह बहुत
Jay mata dee
waah waah