Rin – Minus
Rin
Rishi ke R se Rin ki maina aaj jaani maine, mukam e zindagi aaj wahi khadi hai yeh jaani maine…
Bhut aasaan tha bachpan main ganit, maina rin ki na pehchani maine… Plus aur minus bolta raha zindagi bhar, iski kadar ab hai jaani maine…
Mukum e zindagi aaj wahi khadi hai yeh jaani maine…
Shuniya bhut peeche chod aaya hoon main, jaise usse aadhe saal ki doori ho, Rin aisa door le aaya hai jaise saal bhar ka safar zaroori ho… Shuniya ki mehatvakanksha hai paali maine…
Mukam e Zindagi aaj wahi khadi hai yeh jaani maine…
Jab shuniya se adhik tha, tab kadr na thi, jab shuniya ke karib tha tab fikr na ki… Zindagi kab aise rin main uljhi, ab kadam kadam pe bas chinta thi… Waqt ke rukh badal ne ki ada yeh jaani maine…
Mukam e Zindagi aaj wahi khadi hai yeh jaani maine…
Chote chote kadmo se shuniya ki doori kam karta hoon, main roz zindagi se hisaab kitaab karta hoon… Rin se jitna darta hoon, utna hi shuniya ko pasand karta hoon… Apne aap se rin door karne ki Kala hai jaani maine…
Mukam e zindagi aaj wahi khadi hai yeh jaani maine…
सुंदर
Good