aankhon mein rakha
aankhon mein rakha bulandion ka josh hai
yahan har insaa khud mein madhosh hai
wahan se nikal to aaya tha jahan shor tha
kaise nikaloon jo apne hi ander sarfarosh hai
kaun si duniya ko koste ho jee bhar ke
kaun nahin bhala yahan ahsaan-faramosh hai
na hawaon na fizaon ka koi kasoor yahan
har shaksha apni hi daud ka sota khargosh hai
rajesh’armaan’
Good
Superb