baatain

!!!!! SAGAR KI KALAM SE !!!!!

kuch haseen raat thi
kuch haseen teri yaadain

kuch haseen chand tha
kuch haseen teri baatain

yaadon aur baaton ke khayal main
kab chand aankho se auzal ho gaya

suraz ki khubsoorat laali main
na jaane kab din ka aagman ho gaya

phir raat ka intzaar rahega
phir tere khawabo ka intzaar rahega

phir se dhoob jaunga teri yaadon main
phir se teri bahon main aane ka intzaar rahega

phir se wohi yaadon aur baaton ka saath rahega

@@ SAGAR @@
7/10/15 :: 7:37 PM … (610) … ©

Comments

6 responses to “baatain”

  1. Mohit Sharma Avatar
    Mohit Sharma

    behatreen kavya…dil khush ho gaya padkar 🙂

    1. sagar sharma Avatar
      sagar sharma

      shukriya mohit jee

  2. Anjali Gupta Avatar

    aapki kalam se hamesha acha he nikalta he!

    1. sagar sharma Avatar
      sagar sharma

      shukriya anjali…. jo mann main aata hai likh deta hun bas

  3. Satish Pandey

    suraz ki khubsoorat laali main
    na jaane kab din ka aagman ho gaya
    वाह वाह, बहुत खूब

Leave a Reply

New Report

Close