WO—-

(Jawaa Dilo ke dharrkan aur ehsas ko chhone ka prayas : ek shringaar rachna.)——–
WO—-
———
WO……..
Muskuraa rahi–yun door se hi
Kbb qarib aayegi……
Intezaar mei ,pal guzar rahe
Lamhe bhi beqaraar ho rahe
Sapno ki chilmann se nihaarti,
Muskuraati mujhe sataa rahi
Jhalak–jhalak si door se hi—-
Kbb qarib aayegi————-!

Pataa hai use—jal rahaa hu main
Tanhaa raho pe chal rahaa hu main
Baichainiyo ki tapan naa puchho
Dharrkano ki tarrap naa puchho
Nazaro ki aot se hasti–muskati
Khilkhilaati mujhe jalaa rahi
Mahak–mahakk si door se hi—-
Kbb qarib aayegi———!!

Kahataa hai kya–sun dil ki kabhi
Ai “waqt” rukk jaa–naa jaanaa abhi
“ranjit”dil ki betaabiyaan
Pal–pal badhti baichainiyaan
Yu adaa se eithlaati—
Balkhaati—meri jaaan liye jaa rahi
Khushboo–khushbu si door se hi—
Kbb qarib aayegi…………..!!!
Haaaaye .kab qarib aayegi………..!!!!

Ranjit Tiwari”Munna”

Related Articles

Responses

+

New Report

Close