Kaisaa safar– kis manzil mei..!

————————————————-
Imaan ka daawaa kar sakte nhi
Beimaano ki mehfil mei
Lakh chaho mumkin nhi taraqqi
Gandagi gr man mei-kapat dil mei
Har surat ab dikhaawey ka–
Seerat bhi dhumil ho gayi hai
Saboot-saboot ke chakkar mei–
Bechari sachchai parri musqil mei
Vaachaal ho gyi duniyaan–
Bishwaas bhi dagmagaa gya hai
Wazood-wazood kya hai…?
Alfazein fasi hai–qabil na qabil mei
Bekadra ho gyi neeyat bhi—
Taalim ko bhi mazaak banaa diya
Baithein to hai sabhi darwar mei sajkar
Pataa nhi chalta fark-aalim aur zahil mei
Matlabi hasi aur swarthi muskan
Aankho mei chalbazi chamak rahi
Farfarati zubaan aur maayane
Taasir jaa rahi faazil mei..
Hasratein aur fitratein——
Zudaa ho gayi hain dono
Dayaraa bhi simatataa dikh raha
Berang muhabbat tandil chaahat
Phir–kaisaa safar aur kis manzil mei……….

Related Articles

Responses

+

New Report

Close