Kal raat chandani thi, mousam mein nami thi

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Kal raat chandani thi, mousam mein nami thi
halki si woh barsaat or barf jami thi
Per raas na aya, aster woh nazara
Mai tha, meri tanhaayi, bas teri kami thi

Ek koh e gham liye betha hoon

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Ek koh e gham liye betha hoon
Log kahte hain piye betha hoon
Koo e Jana me hui he jab se shikast
Tab se hothon ko siye betha hoon

Ghar me taare hazaar laaya hoon

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Ghar me taare hazaar laaya hoon
Chaand chhat pe utaar laaya hoon
Bohot roka samandar ne mujhe
Phir bhi kashti ko paar laaya hoon

Yeh zamana mujhe jeene nahi deta

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Yeh zamana mujhe jeene nahi deta
Or yeh mekhana mujhe marne nahi deta

ley ke koi khabar nhi aata

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

ley ke koi khabar nhi aata
Ab to qaasid idhar nhi aata
Lot aany ka waadah karte hyn,
Par koi lot kr nhi aata
Kab se palkein bichay betha hoon,
Chand kyonkar nazar nahi aata
Apni hasti mita deta azhar,
Tuu agar Waqt per nahi aata

Mere naseeb me baqi zara gumaan bhi nahin.

June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Mere naseeb me baqi zara gumaan bhi nahin.

Agar zameen nahi to mera aasmaan bhi nahin.

New Report

Close