Teri yaad
Pal bhar ka hi tha kya saath,
Tum ayi aur chali gayi,
Hum toh chain se tumhe dekhna chahte the,
Etni bhi na samjhi tu pagli.
Etni jaldi thi ki apne balon na sawar kar,
Mera tiffin pack karne lag gayi tu,
Der mujhe ho rahi thi ya tujhe
Kaun janey
Office main kaam karne jata hun,
Etna tu toh janti hain,
Phir mere khabon main aakar,
Mujhe kyun satati hain
Teri etni addat ho gayi hain ki
Aj bhi tere rahne ka ghuman hain,
Tere rahne ka abhiman hain
Maut ke baad milna tu,
Kahunga bahut kuch,kahunga
Par sabse pehley teri ak jhapki
Lunga.
Hay
nice
Comments ke liye shukriya
GOOD
Nice