WO sitam karte-karte choor ho gye

WO sitam karte-karte choor ho gye
Hum sahte- sahte mashahoor ho gye

Lgg gyi hai aadat sahne ki hame
Ya apni aadat se wo mazboor ho gye

Her taraf jo aalam tha— kaise kahe
Apni zindgani se hum door ho gye

Kya samjhenge dard ko sitam karne wale
Zakhm aise nikale ki naasoor ho gye

Tamannao ki angrayi li thi ranjit dil ne bhi
Malik banne chalaa tha– mazdoor ho gye

Related Articles

Responses

New Report

Close