YAD RAHEGA UN VEER SAPOOTO KA BALIDAAN

Shahaadatt ki Lekhni se ———
likhi gyi Aazadi ki daastaan
Yaad rahega un veer sapooto ka balidaan

katra– katra khoon se
seenchee mitti Hindustan ki
badhte gye aage hrrdm—
parwaah kiye binaa Jaan ki
zarrra– zarrra vatan ka maanega ehsaan
yaad rahega un veer sapooto ka balidaan

Maao me doodh ki taaqat
bahno me aanchal ki himmmat
patniyo ke pyaar ki daulat
veeraangnaao ki adamya saahas
addbhoot dikhaa thaa swaabhimaan
yaad rahega un veer sapooto ka balidaan

sachchaii khilti rahe,achchaaii milti rahe,
her dill ho Ram ka—-
chehare pe aks shyaam ka
hrr gun ho sitaa ki—
dhunn Radhaa me naam ka
nafratt ko jeetkarr pyaar se—
nikallkarr agyaan ke andhkaar se
saddbhaav bhaaiichaare ke saath—
ektaa ki gatthbandhan
chhoo paayenge jivan ke naye
aayam
Bhaarat ke naye kalpanaao ki udaan
Fizaaye bhi krti rahegi ——–
——-un veero ko pranaam

Shahaadatt ki Lekhni se–
likhi gyi aazadi ki daastaan——
yaad rahega un veer sapooto ka balidaan

——–Ranjit Tiwari”Munna”

Related Articles

Responses

New Report

Close