बैरन बारिश

Aj Barish fer se beran ban gayi,
tanha dil ko fer se mahfil mil gayi,
moti gire boondno ke jab balkha ke,
kisi anjan chehre ki fer tasveer ban gayi…

chupaye rakha armano ko ab tak,
band tha dil ka tahkhana,
toofan se pahle sannae jesa,
dil ka bhi hal tha veerana
ghiri ghanghor ghata kali,
kesa ye boondno ka itrana,
dil ke badal bhi garaj uthe,
harkat hui fer bachkana
lagi jhadi jab saavan ki,
khwabon me koi sanwar gayi,
kalam bhi meri bevafa nikli,
jo uske hi sajde me jhuk gayi
kisi anjan chehre ki fer tasveer ban gayi……

Bheegnu barish me sang uske,
khyalno pe nahi ab vash mera
boondno me aksh tarashnu uska,
chanchal man uda tod ke pahra
bikhra de bhiga badan mujhpe wo,
chu loon jab uska chehra
har ek katra apne hontho se pi loon,
jo bhi uske hontho pe gira
ynu hi sochte sochte aankno me,
ek hasin shakshiyat utar gayi
aur na le imthna mausam mera,
badnaam najar meri ban gayi
kisi anjan chehre ki fer tasveer ban gayi……

Related Articles

Responses

+

New Report

Close