Holi

HOLI

rango ki fuhar hai ya aapas ka yeh pyar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

rang birange chere sab ke par chadta na koi rang
kar door gile shikwe rahe sab ek dooje ke sang
durriyan mitata paas bulata saal ka yeh tyohar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

bikhri khushiyan ghar aangan main jo rang chale holi ka
jeeja sali ka khel yeh saath jaise daman choli ka
masti bhari holi yeh devar bhabhi ki bhi takrar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

gujhiya papad ki mahak hai nasha hai isme bhang ka
bachche bude kya jawan maja lete sab huddang ka
naach gaan dhol bhangda khusiyon ka yeh izhaar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

kheli humne bhi jo holi woh bhi kya holi thi
choote saathi jo aaj, kal unke saath toli thi
dil main base sab aise aaj bhi, janmo ka yeh pyar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

rango ki fuhar hai ya aapas ka yeh pyar hai
holi to yaarow hum sab ke prem ka tyohaar hai

PANKAJ “PRINCE”

Related Articles

Responses

+

New Report

Close