zidd kar baitha hun

May 5, 2016 in शेर-ओ-शायरी

ab main apni uljhane suljhaane ki zidd kar baitha hun…

ab jo takdeer mein nhi usko paane ki zidd kar baitha hun…

suna hai uski mohobbat paane me toofan bahut hain,

ab aise saahil pe ghar banane ki zidd kar baitha hun…