by mannoj

Saheedi

June 5, 2019 in हिन्दी-उर्दू कविता

Ghar ghar chitthi aaj
Saputo ne bheji h
Ghr me cuha mare
Sarhad pr saheedi h

Ankhe tak tak jgti h
Kya diwali kya eidi h
Rat sansanati thand thi
Har rat aise beeti h

Ghar ki chowkidar begam
Meri maa ki anchal seeti h
Din rat use furshat nhi hoti
Jane ansu kaise peeti h

Chl pde kadam to n ruke
Sammanit ye niti h
Ham jante h tumhe bta du
Anjaam mera saheedi h

by mannoj

Ho jaunga

June 5, 2019 in हिन्दी-उर्दू कविता

Me likh du kuch agr
To sayro me shumar ho jaunga
Tabiyat rahegi hari bhri mgr
Lfjo me bimar ho jaunga

Rakh dur najar apni
Kahi me shikar ho jaunga
Dimag h nhi aur dil se bhi
bekar ho jaunga

Bhul jayegi aisa me tera
Intzar ho jaunga
Tu dhundti rahegi tere sahar ka
Akhbar ho jaunga

Mt dhund mujhe ghmon me
Ghmo ki bahaar ho jaunga
Abhi jkhm khaya h taja
Phir taiyar ho jaunga

by mannoj

ganv vale

June 4, 2019 in हिन्दी-उर्दू कविता

tapti dophari sahab kheton me jlta hu
me mitti ka hu sahab mitti me plta hu

suraj se phle ugta hu me
sanjh bad ankhe mlta hu

koso ki duri naapi h mene
koso pedal chlta hu
fate purane h shok mere bs
din rat use silta hu

me kanton k beech me jakr
fullon se milta hu
wo mujhe nhi chubhte
me unko chubhta hu

milti h baad mujhse kai bar
me kaha kabhi dubta hu
phir aa gye h ganv vale
nadi se kahte sunta hu

New Report

Close