Bharat Maa Ke Teen Stambh

August 14, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai.

Bharat maa ke vagyaniko ka kya kehna….

Ye hai hamari matribhumi ka anmol gehna

Aaj inki hi badolat udta mangalyaan hai

America cheen aur japan bhi hairan hai

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai

Bharat maa ke veer jawano ka kya kehna

Balidani amar ye mahaan, maut hai inka gehna

Cheer de dushman ko jahan shamsheer ki tankaar hai

Mastako ke jhund lage hai, dushman mein hahakaar hai.

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai…

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai

Bharat maa ke haldhar,bhumidhar kisaan ka kya kehna

Anndata ye hain hamare dharti hai inka gehna

Sona ugle meri dharti kalpvriksho ki aayi bahar hai

Motiyon si fasal khadi hai,Saavan sadabahar hai

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai

Bharat maa ke in dharmon ka kya kehna

Mandir, masjid girijaghar dharm hai inka gehna

Mandiro ki aarti se ras rachate radha shyam hai

Allah hu ki hukarein hai, pakeezah subah ki azan hai

 

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai

Aao aaj hum pran lein apni devbhumi ko swarg tulya banayenge

Swach bharat abhiyaan ko hum safal karke dikhayenge

Koi bacha bhukha na rahe koi nirbhaya yu na mare

Is arsh se us amber tak chahuh ore tiranga hi fehre

Bharat maa ke in stambhon ko shat shat mera pranam hai

Ek jawan ek kisaan aur ek vigyaan hai

Mamta

All rights Reserved

Dhadkan

August 3, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Mohabbat se bhare har dil ki dhadkan mein ye tadpan kyu hoti hai

Dhadkta ek dil  mera ye do dhadkan kyu hoti hai

Ye hai iklass roohe pak, Ye dil hai tera asir

Isse uftaad na samjho ,Mere kismet ke ae kaafir.

Teri yaadein bhi na aaye,Ye koshish ki hai shiddat se

Magar na mit saki yadeein, Ye daulate se ibbadat se.

Is bhari Anjuman mein ye dil, Kahi pashemaan na ho jaye

Tu bhi tadpe sanam itna, Ki pareshaan na ho jaye

Ye iltifaat kab ehsaas ban gaya humko maloom na tha

Ye tasawwur se haqeeqat ban gaya humko maloom na tha.

Ye ab jaana ye ab samjha ye ehsaas hai bad-anjaam

Is rah mein hona hai tamaam umr fanna aur kurbaan.

Mohabbat se bhare har dil ki dhadkan mein ye tadpan kyu hoti hai

Dhadkta ek dil  mera ye do dhadkan kyu hoti hai

 

Mamta

All rights Reserved.

Hissa

August 2, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Hisse  ka ye ek kissa hai

Hisse ka kissa kehti hun

Kyu aadmi ne har jaree jaree ke hisse kar diye

Kyu shehar bate kyu gao bate kyu dhara ke hisse kar diye

Us maula ne ek dharti di ,ek aasman, ek chand diya

Kyu panchiyon ko pinjre mein aur nadi ko humne bandh liya

Hisse ka ye ek kissa hai

Hisse ka kissa kehti hun

 

Hisse mein sabke ghar bate,

Khet bate,jar bate,  jewar bate

Kaash ye bhi koi soch pata ki is hisse ki daud mein

Maa baap ko kisne maang liya

Hisse ka ye ek kissa hai

Hisse ka kissa kehti hun

 

Hisse ka lobhi sir chadke agar itraya na hota

Mahabhart ka yudh kisi duryodhan ne rachaya na hota

Na nari ka apmaan hota na ranbhumi yu lal hoti

Bhai bhai ko katwane ki ye bhayanak talwar na hoti

Hisse ka ye ek kissa hai

Hisse ka kissa kehti hun

Lena hi hai is hisse ko, to apne hisse mein pyar lo

Duaein lo, maat pita ke aashirwado ka haar lo

Phir dekho tumhari hisse mein sab duniya ki khusi aa jayegi

Charo aur khushhali aur taraqqi ki leher cha jayegi

Hisse ka ye ek kissa hai

Hisse ka kissa kehti hun

 

Mamta

All rights reserved.

Arziyaan

August 1, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता

Jab aakh khuli duniya mein to bahut sa pyar panne ki khwahishein thi

Aas pass dekha to jamane bhar ki aazmayishein thi

Aurat ban ke mai is duniya mein kya aa gayi

Jamane ne har kadam har waqt kurbani dene ki Gujarishein ki

Kabhi kabhi sochti hun kyun na mai ek parinda hoti

Udaas hoti to udaan bharti kabhi na akele roti

Kabhi bhul ke bhi bhul na kar payi kyuki mai to ladki thi, sayani thi

Bhai ki to har baat maaf thi kyuki us mein to nadani thi

Har pehra har deewar ladki ki ke liye kyu hoti hai

Aurat hi aurat ki dushman kyu hoti hai

Hum ye kyu bhul jaate hain ki Gandhi Nehru ko paida karne wali

Ek maa ek ladki ek aurat hi hoti hai

Beti thi isliye mujhe har sanskar tha maa se paana tha

Har farz har rishta mujhe hi kyu nibhana tha

Koi beto se ye kyu nahi kehta hai

Ki tumhe bhi har rishta moti sa sanjona hai

Pyar ka har rishta anmol hai kya paana kya khona hai

Har farz har jimmewari mere hi hisse mein kyu aaya

Sochti hun ladki banke maine kya paaya

Nehar aur pihar jode rakhna kya meri hi majboori hai

Farz ke saath saath haq milna bhi bahut jaruri hai

Aurat banke har waqt maine

Kuch khoya kuch paya

Ab jab maan banne kaa samay aaya

Socha shayad ab to rutba aur auhda bada hoga

Kya pata tha ab jindagi ka safar aur bhi sakht hoga

Sharir aur Aatma bahut thak gayi

Ek jaan ko is duniya mein lake

Phir bhi dil mein khushi kam na hui

‘Us nanhi si jaan ko badhta dekhke

Kuch kahi ankahi bateein aur saheli bhi peeche choot gayi

Ek naukri thi wo bhi maa ke farz ke liye choot gayi

Maa banana ek karishma se kam na laga

Khud kamujhe ek naya janam sa laga

Apni sudh bhud bhul ke ab mai fir mamta mein ram gayi

Apni ichayein bhul ke nanhi si jaan ke rang mein rang gayi

Ab baat samjah mein aayi jab maan kehti hai

Rab har jagah ho na ho

Isliye uski jagah maa rehti hai

Ya rab ek dua meri aakhri sun le

Agle janam mein bhi ek aurat hi banu mai phir se mujhe chun le

Itne shikhwe shikhayato ke baat bhi ye arz hai

Kyuki is duniya mein har aurat ka har saksh pe karz hai.
– Mamta

New Report

Close