Ajnabi
Badlaab…..
June 18, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kabar Main Ham Kya Gaye,
Unki To Shakshiyat Hi Badal Gai……!!
Pura Din Guzaar Diya Unhone,
Jo Kehte The Kabhi Hamko Furshat Nahi……!!
D K
Haalaat……
June 18, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Kaise Rehta Hoga Wo,
Kya Haadsa Eske Saath Hua Hoga……!!
Log Bas Yahi Sochte Hai,
Aksar Mujhe Dekhne Ke Baad……!!
Tanhaa……
June 17, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Bada Udaas Rehta Hai Wo,
Uske Dil Main Bhi Koi Gam Palta Hoga……..!!
Tadapta Hoga Raaton Ko Ye Bhi,
Meri Tarah Hi Yaad Main Jalta Hoga………..!!
D K
Teri Yaad……
June 17, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Khusiyoon Ki Jagah Gam,
Aankhain Pehle Se Jyada Nam,
Raatain Kuch Jyada Lambi,
Tanhaaiyoon Ka Basera,
Hoonthoon Per Faryaad,
Aankhon Main Intzaar,
Dharkan-e-Dil Ki Pukaar,
Zehen Main Teri Yaad,
Jyada Kuch Nahi Badla,
Tere Chale Jaane Ke Baad……………!!!!
D K
Tanhaa……
June 17, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Bada Udaas Rehta Hai Wo,
Uske Dil Main Bhi Koi Gam Palta Hoga……..!!
Tadapta Hoga Raaton Ko Ye Bhi,
Meri Tarah Hi Yaad Main Jalta Hoga………..!!
D K
Wajood….
June 17, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Wajood Kuch Nahi Hamara,
Siwaa Ek Patthar Ke……………..!!
Ek Jagah Se Dusri Jagah,
Ek Paun Se Dusre Paun…………!!
D K
Wo Kaha, Ham Kaha……..
June 14, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Aaram To Mila Hame,
Magar Dil Ko Wo Sukun Kaha…..!!
Dil Ki Khuwaishain To Wohi
Ishq Ka Magar Wo Junun Kaha…..!!
Zindagi Dafan Ho Chuki Yon To,
Jisam-e-Katra-e-Khoon Kaha…..!!
Karaarnama Ishq Ka Maujood Ab Bhi,
Dil Ka Magar Wo Wajood Kaha….!!
Basti-e-Dil Dono Ke Khaali,
Ab Magar Wo Kaha, Aur Ham Kaha…..!!
DK
Gam-e-Hawa……..
June 14, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Na Zindagi Ka Koi Wajood,
Na Chiraag-e-Roshni Thami…..!
Aandhi Aai Gam-e-Hawa Ki,
Dono Ko Wo Bhujhaa Gai…..!!
DK

Tanhaa Hoga, Rehta Hoga….
June 13, 2016 in ग़ज़ल
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
Dikhta Nahi Ye Din Ke Ujaale Main Ye Bhi
Meri Tarah Hi Darta Hoga……………………….!!
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
Dard-e-Dil Bayaan Karta Nahi Ye
Meri Tarah Hi Sehta Hoga……………………..!!
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
Taaron Ka Saath Paa Kar Bhi Akela
Meri Tarah Hi Kehta Hoga………………………!!
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
Kahe Kis Se Apna Gam-e-Kissa
Meri Tarah Hi Sochta Hoga………………………!!
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
Dikhne Aur Dikhaane Ki Zindagi Kaisi
Meri Tarah Hi Kosta Hoga………………………!!
Ye Chaand Bhi Shaayad Tanhaa Hoga
Meri Tarah Hi Rehta Hoga………………………!!
“Dekho”
June 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Dard-e-Shikan, Manzar-e-Aansoon,
Aur Maayusi Ka Nazara Bhi Dekho…..!!
Doobti Zindagi, Toot Ti Saansain,
Aur Gamo Ka Kinaara Bhi Dekho…..!!
Yahi Haal-e-Lavz Dikhte Hai Aksar,
Toot Kar Chaahne Waalon Ka Ishq Main…..!!
Kuch Hue Baikaar, Kai Hue Barbaad,
Aur Kuch Bache Hue Besahara Bhi Dekho…..!!
“Saajish”
June 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Kaali Ghataa Chaai Fir Se,
Gamo Ki Aaj Phir Baarish Hui…..!
Kai Bashinde Fir Fanah Hue,
Kuch Ke Katal Ki Saajish Hui…..!!
“Nasha”
June 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Aksar Marte Hai Log,
Pee Kar Uski Nighahon Se…..!
Kasam Sharaab Ki,
Bahut Nasheela Hai Wo…..!!
“Gunaahgaar”
June 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Us Gunaahgaar Ki Saja Mukkarar Nahi Hui
Ishq Har Kisi Ka Mukkadar Nahi Hui…………!
Kiya Hamesha Badgumaan Usne Hamari Jubaan-e-Laknat Per
Hamari Chaahat ki Kabhi Usko Kadar nahi Hui……….!!
“Hunar”
June 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Baras Jaata Hai Baadal, Us Manzar Ko Dekh Kar…..!
Jab Bhi Aate Hai Aangaan Main, Apni Angdaai Ke Saath…..!!
“Reet”
June 13, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Es Ishq Ke Seher Ki Reet Bahut Hi Neeraali Dekhi…..!
Log Ujaadte hai Zindagiyaan, Yaha Basti Ki Tarah…..!!
“Shakshiyat”
June 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kuch Bhi Kaho Tum Magar,
Tum Bhi Haalat-e-Ajeeb Rakhte Ho……….!
Chaand Se Gugtgoo Karte Ho,
Taaroon Ko Apna Habeeb Kehte Ho……….!!
“Sakshiyat”
June 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kuch Bhi Kaho Tum Magar,
Tum Bhi Haalat-e-Ajeeb Rakhte Ho……….!
Chaand Se Gugtgoo Karte Ho,
Taaroon Ko Apan Habeeb Kehte Ho……….!!
“Gam-e-Dil”
June 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Koi Nahi Uska, Shaayad Aankhain Nam Rakhta Hoga…!
Ye Meri Hi Tarah Dil Main Gam Rakhta Hoga……………!!
“Thik Nahi”
June 10, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Hamare Dil Ke Haalaat Thik Nahi
Kehte Hai Hamre Hoonth-e-Alfaz Thik Nahi
Gunzaaish Nahi Hai Sab-e-Khusi Ki Zindagi Main
Unke Zehen-e-Khayalaat Thik Nahi
Begairat Yaadon Ka Basera Dil Main
Khuwaishon Se Mulakaat Thik Nahi
Raatain Kati Imtihaan Main Dhire Dhire
Abhi Koi Sawalaat Thik Nahi
Daag-e-Ishq Hai Ye Dil-e-Ebaadat Bhi
Zindagi-e-Shatranj-e-Bisaat Thik Nahi………!!
“Saadgi”
June 10, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Aankhain Saagar Si Gehri Lagi Hamko
Hoonth Eid-e-Sehri Si Lagi Hamko
Ajab Sa Hunar Dekha Uske Muskaan Main Hamne
Jidhar Mooh Karke Wo Muskuraye, Log Deewaane Ho Gaye……!!
Love
June 10, 2016 in English Poetry
I Will Always Thankful To You
That You Come In My Life
Make Me Special For Someone
I Just Want To Say Thank You So Much……….!!
I Was Nothing For Anyone
Every Person Think About Me
That What Personality I Have
Then You Come And Thought Me……….!!
Now Everything Has Changed
I See Happiness Everywhere
As Like Whole World Become My Fan
Its Nothing Except Your Magic……….!!
I Can’t Express You Completely
But I Am Expressing As Much I Can
This Is Just Start Of My Life
I Just Want To Say Thank You So Much……….!!
Azaadi…..!
June 9, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Kaun Kehta Hai Ki Ham Kuch Likhte Hai Saaheb
Kaun Kehta Hai Ki Ye Samay Ki Barbaadi Hai
Bas Dafan Karte Hai Ham Ishq aur Tanhaai Ko
Aur Kuch Nahi Bas Ye Gam-e-Azaadi Hai……….!!

Ek Gareeb…..!
June 9, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Roota Hu, Bilakhta Hu
Main Apni Zindagi Per Hasta Hu
Sab Log Kehte Hai Mujh Se
Ki Main “Ek Gareeb” Hu……….!!
Sabko Mujh se Ghidna Hai Yaha
Sabki Aakhon Mai Main Khatakta Hu
Sab Log Kehte Hai Mujh Se
Ki Main “Ek Gareeb” Hu……….!!
Jaise Main Kya Koi Aadmi Nahi
Jaise Mera Koi Sammaan Nahi
Sab Log Kehte Hai Mujh Se
Ki Main “Ek Gareeb” Hu……….!!
Koi Mujhe Laat Se Maare
Koi Mujhe Rah Ka Patthar Samajhta Hai
Sab Log Kehte Hai Mujh Se
Ki Main “Ek Gareeb” Hu……….!!
Tanha-Tanha…..!
June 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Aansuoon Ka Samunder, Gam-e-Judaai Ka Sama Bhi Khoob
Fasal-e-Ishq Ka Natija Hai Ye, Har Raat Kati Tanha Tanha……..!!!!
Likha Tha…..!
June 9, 2016 in ग़ज़ल
Raat Ki Tanhaai Main Hamne Ek Paigaam Likha Tha
Har Kitaab per Uska Naam Sar-e-Aam Likha Tha
Roshni Jab Hui To Dekha Hamne Gaur se Panne ko
Har Jagah Bas Uska Hi Naam Likha Tha
Takaza Jab Hua Fasal-e-Emaan Ka Panne Per
Kasam-e-Ishq Hamne Khud Ko Gumnaam Likhta Tha
Kadar Wo Karte To Ek Din Jaroor Aate Waam Per
Hamne To Unko Hi Subah-o-Shaam Likhta Tha
Ek Sawaal-e-Dil Per Ham Bhi Choop Ho Gye
Na Jane Kaisa Hamne Chaahat-e-Farmaan Likha Tha
Sharaab Ki Khushboo Aai Kuch Sabdon Se Hamare
Kalam Ne Kaha Aapne Har Sabd Ko Jaam Likha Tha
Yaad Aai Jab Hamko Rang Uske Haath-e-Heena Ki
Shayad Ishq Ka Hamne Koi Enaam Likha Tha
Gamkhaar Ki Zindagi Kuch Aaisi Hi Hoti Hogi
Hamne to Bas Dard-e-Dil Ka Kaam Likha Tha
Tanhaai Se Guftgoo, Yaadain-e-Aansoon Aur
Toote Dil Ka Har Armaan Likha Tha
Raat Ki Tanhaai Main Hamne Ek Paigaam Likha Tha
Har Kitaab per Uska Naam Sar-e-Aam Likha Tha……….!!!! D K
Shakshiyat…..!
June 8, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Hamari Shakshiyat Ka Takaza Kuch Es Tarah Se Karte Wo
Tanhaai-e-Seher ka Wo Banda-e-Gamkhaar Hai
Maara Hua Hai Meri Mohobbat Ka Wo
Kasam Ishq Ki Wo Mere Husun Ka Talabgaar Hai……….!!!!
Faryaad…..!
June 8, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Zindagi To Jee Hamne Magar,
Ek Ruthee Hue Pal Ki Tarah
Jaise Na Koi Apna Ho,
Na Koi Paraya Ho……………..!!
Chidh Gaye…..!
June 8, 2016 in ग़ज़ल
Zikar jab hua unki Mohobbat ka
Ishq Ke Kai Unkahe Taraane Chid Gaye
Kuch Khaamosh Reh Kar Sunte Rahe
Kuch Ke Bolne Ke Bahane Chidh Gaye……….!!!!
Akas-e-Mehboob Nazar ke Saamne Chaane Laga
Rangeen Hua Sara Sama, Mehfil-e-Yaar Bhi Sajne Lagi
Dilo Main Dhun Yaar-e-Chaahat ki Ban Ne Lagi
Ishq Main Beetain Hue Har Zamane Chidh Gaye……….!!!!
Jaam-e-Sharaab Se Shaam Sajne Lagi
Kuch Nagmain Puraane Sab Gaane Lage
Peena Pilane Ka Manzar Dikhne Laga
Dard Dil ke Saare Puraane Chidh Gaye……….!!!!
Sabki Aankhoon Main Ek Alag Hi Chamak Dikhne Lagi
Jaise Khusiyaan Gam-e-Seher main Bikne Lagi
Sabki Hone Lagi Phir Waah Waahi Yaha
Jaise Mehfil Main Shair Begaane Chidh Gaye……….!!!!
Aankhoon Ke Saamne Aane Laga Har Manzar
Jaise Lagta Ho Ye Kal Hi Ki Baat Ho
Kuch Aansoon Dikhe, Kuch Siskiyaan Dikhi
Kahi Per Husun Ke Sharare Chidh Gaye……….!!!!
Khuwaish…..!
June 8, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Na Kar Dua Durusti Ki, Na Vehem-e-Dil Ki Saugaat Rakh
Main Chal Pada Hu Kaarwa-e-Gam Lekar, Lautna Mujhe Pasand Nahi……..!!!!
Maa…..!
June 8, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Jis Ghar Main Maa Ki Ezzat Nahi Hoti
Us Ghar Main Kabhi Barkat Nahi Hoti
Na Karo Kabhi Apne Maa Ka Apmaan
Maa Koi Dikhawe Ki Sohrat Nahi Hoti
Jo Karte Hai Apne Maa ki Ezaat
Unko Zindagi Main Kabhi Koi Dikkat Nahi Hoti
Hamesha Karo Sewa Maa Ki Niswarth Bhaav Se
Maa Ki Sewa Karne Ki Koi Mohlat Nahi Hoti
Badi Kathinaai Se Wo Paalti Hai Hamko
Kaun Kehta Hai Maa Ke Mamta Ki Koi Kimat Nahi Hoti
Thakaan-e-Shikan Dikhti Nahi Maa Ke Chehre Per
Hamare Daanthne Per Kya Unki Zillat Nahi Hoti
Maa Ke Daanth Main Bhi Pyar Barasta Hai
Hamare Aankh Dikhane Per Kya Wo Bezzat Nahi Hoti
Maa To Maa Hai Uski Mamta Anmol Hai
Uske Pyaar Ki Koi Kimat Nahi Hoti
Hamesha Chahti Hai Wo Apne Bacchoon Ko
Uske Dil Main Koi Khoot-e-Niyat Nahi Hoti
Jis Ghar Main Maa Ki Ezzat Nahi Hoti
Us Ghar Main Kabhi Barkat Nahi Hoti……….!!
!!……DK……!!
Sahara…..!
June 7, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Raah Chalte Hue Bas Main Ye Sochta Hu
Meri Kishti-e-Mohobbat Ko Koi Kinaara Milega
Doob Jaaunga Main es Gam Ke Saagar Main
Ya Mujhe Khusiyoon Ka Koi Haseen Sahara Milega……!!!!
Sochta Kya Hun,Lagta Kya Hun…..!
June 7, 2016 in ग़ज़ल
Tujh Se Bichad Kar Ab Main Sochta Kya Hun
Bas Etna Ke Main Tera Ab Lagta Kya Hun
Sochte Hai Zamane Wale Mujhko Bura Aadmi
Na Jane Main Sabse Aisa Bolta Kya Hun
Tujh Se Bichad Kar Ab Main Sochta Kya Hun
Bas Etna Ke Main Tera Ab Lagta Kya Hun
Shamma Jal Padti Hai Mere Lavzon Ko sun Kar
Andhere Main Mai Raaz-e-Dil Kholta Kya Hun
Tujh Se Bichad Kar Ab Main Sochta Kya Hun
Bas Etna Ke Main Tera Ab Lagta Kya Hun
Kyn Sakshiyat Hai Meri Ek Gareebon Jaisi
Na Jane Kis Kis Ko Main Dikhta Kya Hun
Tujh Se Bichad Kar Ab Main Sochta Kya Hun
Bas Etna Ke Main Tera Ab Lagta Kya Hun
Taaleem-e-Ishq Etni Bhi Buri To Nahi
Log Kehte Hai Ki Main Sikhta Kya Hun
Tujh Se Bichad Kar Ab Main Sochta Kya Hun
Bas Etna Ke Main Tera Ab Lagta Kya Hun……….!!!!
Love’s Emotion…..!
June 7, 2016 in English Poetry
If I Am A Sun
Then You Are My Shine
If I Am A Bulb
Then You Are My Light
If I Am A Colour
Then You Are My White
If I Am A Work
Then You Are My Site
If I Am A Happy
Then You Are My Smile
If I Am A Punishable Offence
Then You Are My Crime…………………!!!!
Berukhi…..!
June 6, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Uski Berukhi Ka Asar Hamare
Dil Per Bas Etna Hua Hai Logo…..!!
Pehle Talab Thi Talash-e-Sanam Ki
Ab Maut-e-Aarzoo Hai Dil Main…..!!!!
Faislaa-e-Dil
June 6, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Sochta Hu Ab Badal Du
Main Faislaa-e-Dil Apna…..!!!!
Ke Na Ab Dil Ki Wo Hakikat Hai
Na Ab Ishq Ka Wo Fasana Hai…..!!!!
Bewafai-e-Ishq…..!
June 6, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Saamne Se Nazrain Churaa Kar Chale Jana
Aur Saath Main Chaahat-e-Dil Ka Dikhawa Bhi Khoob
Hoti Hai Ye Bewafai-e-Ishq Kasam Se
Aur Saath Main DIl-e-Apnapan Ka Dikhawa Bhi Khoob……!!!!
Patthar…..!
June 6, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Na Ahsaas-e-Dard Dil Main
Na Apnepan Ka Koi Ahsaas…..!!!!
Log Laat Marte Chalte Hai
Raaste Ka Ek Patthar Hu Main…..!!!!
Talaash-e-Yaar…..!
June 4, 2016 in ग़ज़ल
Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!
Imtihaan-e-Sabar Bhi Aur Gam-e-Dil Ko Khusamadin
Charcha-e-Yaar Aur Shekhi Mohobbat ki
Kabhi Ham Gumshuda To Kabhi Ye Dil GumShuda
Har Jagah Hoti Baatain Gurbat ki
Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!
Na Haseen Sawere Ki Kahani, Na Dhalte Shaam Ka Kissa
Sabki Zubaan Per Sirf Hamare Naam Ka Kissa
Koi Samajhta Sohrat-e-Ishq, Kuch Ne Majhab-e-Dil Kaha Esko
Kisi Ki Nighaan Main Nafrat-e-Aansoon, Kisi Main Khusi Ka Khazana
Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!
Do Pehlu Dikhe Es Mohobbat Ke Hamko
Acchi aur Buraai Dono Se Pala Pada
Kuch Ne Daraya Hame Sooli Ka Naam Le Kar
Kuch Ne Hame Shakash-e-Boosdil Kaha
Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!
Armaan-e-Dil Kuch Badrang Mile The
Kuch Khuwaishon Ka Jaise Intkaal Hua
Gunaah-e-Khass Tha Ye Sabki Nazar Main
Kuch Ka Faisla Hamare Haq Main Hua
Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!
Love’s Gift….!
June 4, 2016 in English Poetry
Two Gifts Always Given By Love To Us
First Is Happiness To Heart And Last Is Tears To Eyes…..!!!!
Ek Gunaah…..!
June 4, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Khata-e-Dil Main Ek Kharaab Kar Baitha
Apni Zindagi Ko Main Sharaab Kar Baitha
Es Ishq Ko Samajh Kar Zindagi Apni
Ek Gunaah Main Behisaab Kar Baitha……….!!!!
Sharaab…..!
June 4, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Peena Aur Peelaana Hamara Shaukh Ban Chuka Hai
Ye Zamana Hamare Liye Khauff Ban Chuka Hai
Elaaj-e-Gam Ki Dawa Hai Ye Sharaab Hamare Dil Ki
Ye Mohobbat Hamare LIye Roog Ban Chuka Hai……….!!!!
Aaj Phir….!
June 3, 2016 in शेर-ओ-शायरी
!!…..Aaj Phir Se Ek Siddat Ka Kaam Kar Du…..!!
!!…..Apni Bepanah Mohobbat Tere Naam Kar Du…..!!
Love…..!
June 3, 2016 in English Poetry
When I Think About You
My Face Gives Smile
I Know The Reason behind That
It Is Nothing Except Love….!!
Whenever I See You In My Dream
My Eyes Tell About You
That How Much are You Beautiful That
It is Nothing Except Love….!!
When I Remember Your Face
I Remember Your Smile Too
That You Smile With Your Shyness
It Is Nothing Except Love….!!
Whenever I Feel Alone
Me Remember You Always
That I Know What Is This
It Is Nothing Except Love….!!
Aaj Bhi Yaad Hai……!
June 3, 2016 in ग़ज़ल
Wo Pehli Mulakaat Mujhe Aaj Bhi Yaad Hai
Tera Muskurana Aur Tera Sharmana Yaad Hai
Jab Tu Aati Thi Hamse Milne Sab Se Chup Chup Kar
Wo Tera Ruth Kar Chale Jaana Aaj Bhi Yaad Hai…..!!
Wo Tera Intzaar Karna Aur Wo Meri Tanhaai
Bas Ektak Aankhoon Main Intzaar Tera
Ghantoon Akele Rehna Intzaar Main Tere
Reh Reh Kar Khud Se Sawal Karna Aaj Bhi Yaad Hai…..!!
Wo Pal Bhi Kitna Haseen Tha, Wo Pal Kitna Jawaa Tha
Wo Mausam Ki AangRaai, Wo Baharoon Ka Sama
Kabhi Bulaane Per Na Aaana, Kabhi Tera Dair Se Aana
Tera Aana Aur Phir Bahane Banana Aaj Bhi Yaad Hai…..!!
Wo Tera Khidki Se Jhaakna, Wo Tera Baalon Ko Banana
Wo Mera Tere Gali Mai Chakkar Lagana
Tujhe Na Paane Per Ek Jagah Udaas Ho Kar Baith Jaana
Kabhi Khud Ko Kosna Aur Kabhi Tujh Per Gussa Aana Aaj Bhi Yaad Hai…..!!
Wo Baarish Ki Boondain, Wo Mausam Ka Khumaar
Baarish Main Bhingnaa Aur Tujhko Yaad Karna
Tujhe Hi Dekhna Aur Tere Bare Main Hi Sochna
Wo Pehla Pehla Pyaar Aaj Bhi Yaad Hai…..!!
Likhunga…..!
June 3, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Teri Prem Ke Khaatir Aaj Main Geet Anokha Likhunga
Madhur Madhur Se Sabd Honge, Sangeet Anokha Likhunga
Khusiyoon Ki Dhaara Bahegi, Man Machleega Matwaalon Ka
Khud Ko bana Kar Tera Saathi, Tujhko Main Meet Likhunga………..!!
Ehsaas….!
June 3, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Zindagi ek Sukhad Palon Ka Ehsaas Ban Jaati
Kash Wo Hamare Dil Ka Viswaas Ban Jaati
Hota Na Phir Kabhi Gamo Ka Tana Bana Zindagi Main
Kash Wo Hamare Dil Ka Sukhad Ahsaas Ban Jaati…..!!!!
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!
June 2, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Main Rooj Subere Darpan Dekhta Hu
Main Rooj Subere Apni Halat Dekhta Hu
Dikhta Nahi Kuch Bhi Mujhe Badla Sa
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!!!!
Jab Bhi Nikalta Hu Raastoon Per Main
Khud Ko Ashaay Paata Hu
Sab Yahi Sochte Honge Mujhe Dekh Kar
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!!!!
Kasoor Kya Hai Mera Main Nahi Janta Hu
Sabko Mujh Se Hi Etni Nafrat Kyn Hai
Pathe Puraane Kapde Hai Mere
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!!!!
Sab Dekhte Hai Mujhko Galat Nighaa Se
Sab Ki Aankhoon Mai Main Khatakta Hu
Sab Mujhe Har Jagah Dhutkarte Hai
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!!!!
Main Rooj Subere Darpan Dekhta Hu
Main Rooj Subere Apni Halat Dekhta Hu
Dikhta Nahi Kuch Bhi Mujhe Badla Sa
Main Ek Gareeb Dikhta Hu…!!!!
Har Pal…!
June 2, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Tootna Aur Bikharna Chalta Raha Meri Zindagi Main
Toot Toot Kar Bas Bikharta Raha Har Pal….!!
Halat-e-Zindagi Ne Mujhe Majboor Kar Diya Aur Main
Geer Geer Kar Sambhalta Raha Har Pal….!!
Na Koi Thikaana Bacha, Na Kisi Manzeel Ki Talab
Dhire Dhire Chalta Raha Har Pal…!!
Dard To Tha Dil main Magar Bardaasht-e-Saadgi Bhi
Ek Kamal Ki Tarah Khilta Raha Har Pal…!!
Girraft-e-Tanhaai Aur Khuwaaish-e-Dil Ki Har Zustzoo
Machli Ki Tarah Tadapta Raha Har Pal…!!
Na Dekha Usne Kabhi Mood Kar, Na Dil-e-Faryaad Hui Koi
Armaan-e-Dil Ke Haathon Marta Raha Har Pal…!!
Chiraag-e-Rooshni Aur Na Ujaala-e-Zindagi
Apne Dil Ke Saath Jalta Raha Har Pal…!!
Tootna Aur Bikharna Chalta Raha Meri Zindagi Main
Toot Toot Kar Bas Bikharta Raha Har Pal….!!
Relation…!
June 2, 2016 in English Poetry
Every Relations are Hungry As Like Us…!!
So We Should Feed Love & Care To Survive It…!!!!