Ajnabi
कदरदान
December 13, 2016 in शेर-ओ-शायरी
उसके शहर का मौसम हमने वीरान देखा
एक रोता हुआ तन्हा शमशान देखा
मेहमान नवाज़ी ऐसी भी होगी सोचा न था
न कभी हमने ऐसा कदरदान देखा……………………………!!
कसूर
December 13, 2016 in शेर-ओ-शायरी
कुछ तो कमी तुझ मैं भी रही होगी
कुछ तो तेरा भी कसूर रहा होगा
ऐसे ही मोहोब्बत किसी को नहीं छोड़ती अकेला
ऐसे ही कोई मोहोब्बत मैं तन्हा नहीं होता…………………….!!
आप
December 12, 2016 in शेर-ओ-शायरी
दिल मैं गम रख कर कितना मुस्कुराते हो आप
मेरी ही तरह तन्हाई , यादे और आंसू छुपाते हो आप …………!!
तलब-ऐ-इश्क़
December 12, 2016 in शेर-ओ-शायरी
बड़ी तलब उठती है इस इश्क़ की दिल मैं मेरे कभी-कभी
याद आता है वो मुझे बेचैनी के साथ जब-जब ……………..!!
गुमनाम-ऐ-ज़िन्दगी
December 12, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
सब कुछ तो छोड़ आया मैं अपना अतीत के पन्नों में
सख्शियत मेरी अब इंसान -ऐ -आम रह गई है
खुशियों की सुबह न जाने कब से नहीं देखी
बस ज़िन्दगी में गमो की शाम रह गई है
बेच कर खुद को हमने खरीदी थी मोहोब्बत किसी की
अब हर खुवाईशैं नीलाम रह गई है
होता नहीं यकीं अब हमको इस इश्क़ पैर
हाथों में चाहत -ऐ -जाम रह गई है
खुसी लौट नहीं सकती फिर से ज़िन्दगी में हमारी
हमारी हर दिल -ऐ -आरज़ू बदनाम रह गई है
उधेड़ -बून और ख़ोज-बीन का सिलसिला शायद अब चलता रहेगा
ज़िन्दगी अब शायद गुमनाम रह गई है …………!!
Daga-e-Zindagi………..!
December 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Teri Yaadain, Tere Gam Aur Teri Har Nafrat Main Khatam Karne Wala Hu
Ke Suna Hai Ki Meri Zindagi Mere Saath Daga Karne Wali Hai………………………!!
Ishq, Mohobbat……….!
December 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kisi ko pal bhar main mil gai apni manzil-e-mohobbat
Aur kai hamari tarah bas Safar-e-ishq main reh gye……………………..!!
Aazmaaish……….!
December 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Suna hai wo bhi ab hame chahte hai
Chalo ek bar phir ham khud ko aazmaate hai………….!!
Halat……..!
December 10, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Suna hai wo bahut mashoor ho gaya hai
Sochta hu ek bar uske seher ke haalat dekhta Chalu………..!!
Na Tha……….!
December 9, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Sabar to tha dil ko magar
Us bewafa ko ham per viswaas na tha
Es kadar bhi dhoka milega hamko
Eska dil ko hamare aabhas na tha
Tha wo hi rehnuma hamare zindagi ka
Uske alawa koi bhi etna khaas na tha
Toot kar bikhar gaya pal bhar main
Shayad hamare riston main mithaas na tha
Sabar to tha dil ko magar
Us bewafa ko ham per viswaas na tha…………………….!!
Kuch Ankahe………..!
December 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kuch ankahe kissain hai baaki,
Kuch ankahe baatain bhi………………….!
Kuch ankahe ristey viraan,
Kuch ankahi yaadain bhi…………………!!
Kya Hoga………!
December 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Nashey ki baat karte hai log,
Ham se nasheela koi kya hoga……………!
Ishq ne rang diya hai hamara room room
Ham se rangeela koi kya hoga……………………………!!
Chale……….!
December 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Meri nazron ko teri hi mulakat chale,
Meri zindagi ko tere ishq ki saugaat chale,
Ghar, Baahar, Bazaar ya Mehfil
Jaha bhi jaaun teri hi baat chale………………………….!!
Tamanna……..!
December 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Na dil ko tamanna hai teri,
Na aankhon ko aarzoo hai teri,
Tu ban chuka hai kisi aur ka shayad
Na zindagi ko khuwaish hai teri………………!!
Halat-e-Dil………..!
December 9, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kitna muskil hota hai, Kisi ko chaah kar bhula dena
Pucho ja kar un sab se, Jo khud ko hi bhula baithe hai………!!
Bewafa-e-Ishq……….!
December 8, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Mohhobat Ki Rasam Bhi ab Bewafa Ho Chali Hai
Aksar Daga Deti Hai Ye, Toot Kar Chahne Wale Ko……………!!
Love……….
November 7, 2016 in English Poetry
Whenever i think about my love
Lot of questions surrounding in my mind
That it would be good for me
Or it would be bad for me
I hear about it many times
Some people said, it is good for life
Some said that, it is bad for life
Still i couldn’t understand it
I know it is not easy for anyone
Because it is like a worship for everyone
It is built by reliance, trust and mutual understanding
Its look like a straw, despite of we don’t catch it
I don’t know how could i deal with it
Because it is not simple in this stage for me
I always give value to relations & time too
Whether it is a realtion of frienship or a family’s relation
Whenever i think about my love
Lot of questions surrounding in my mind
That it would be good for me
Or it would be bad for me……………………………………………………!!!!
D K
Baat……..
September 23, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Baat mohobbat ki bas etni si hai huzoor
Ke Mohobbat hame aap se baat baat main ho gai………!!
D K
ISHQ……..
September 17, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Chalta rahu hamesha teri yaadoon ke saath
Tu khailta rahe hamesha mere zazbaaton ke saath
Kasam ishq ki ye ishq badhtaa hi jaiga
Teri aur meri har badhti mulakaaton ke saath…………….!!!!
D K

Aazaadi……..!
August 13, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Ye din hai bahut sunhaira, ye din hai bahut pavitra
hindustaan ko aazaad rakhne ki ham sab ne kasam khaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
deshbakhton ne sinchaa hai esko apne khoon se
aur bharat maa per apni jaan lutaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Har yaad es din ki taza hui aaj phir,
Har gali, har nukkad per yahi goonch paai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Haste haste suuli chadh gaye bhagat singh
Chandra sekhar ne khusi khusi prano ki bainth chadhai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Rakhenge ham apne desh ko aazaad hamesha
Har hindustaani ne aaj yahi kasam khaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Mahatma gandhi ki wo dhandi yatra,
Aur jaliawala bhag ki kahani aaj yaad aai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Aao aaj sab mil kar naman kare
Un sapooton ko jinhone hame ye aazaadi dilaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Baikaar nahi jaane denge ham unki kurbaani ko
aaj ham sab ne yahi kasam khaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Bahut kuch khooya hai sab ne
Bahut kuch kaiyon ne aazaadi ke khaatir gawai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai
Sat sat naman un desh bhakton ko
Jinhone ham sab ko ye nai subaah dikhaai hai
Aazaadi ki keemat hamne bahut badi chukaai hai
Tab jaa kar hamne ye aazaadi paai hai …………………….!!!!
D K

Ek Aur Gazal…..
July 6, 2016 in ग़ज़ल
**…..TERA NAAM…..**
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya
Tere Ishq Ki Talab DIl Ko Aaisi Padi
Yaad Dil Ko Tu Subah-Shaam Aaya
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya
Har Kucha, Har Gali Charchaa Mera
Har Seher, Main Badnaam Aaaya
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya
Loota Baithe Jab Sabkuch Ham Apna
Zindagi Ko Tab Aaraam Aaya
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya
Maut Bhi Tadpi Hamari Zindagi Per
Na Jane Kaisa Ye Mukaam Aaya
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya
Dekh Le Wo Bhi Hame Aakhri Dafa
Khuwaish-e-Dil Ka Ye Farmaan Aaya
Mere Honthoon Per Jab Bhi Tera Naam Aaya
Aankh Main Aansu, Haath Main Jaam Aaya………………!!!!
D K
Mohobbat……
June 30, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Baaki…………
June 29, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Khuwaabgaah Ka Har Khuwaab Baaki
Dil Ki Har Zidd, Har Ruwaab Baaki
Nasha-e-Ishq Ka Kisaa Gart Main Pada
Maykade Ki Saari Sharaab, Shabaab Baaki
Gumnaami Ki Seher, Badnaami Ka Karwaa,
Insaani Fitrat Ka Har Azaab Baaki
Aankhon Ka Sawal, Muskurahat Ki Salaami
Uske Honthoon Ka Sawaal, Jawaab Baaki
Khareed Farokh Zindagi Ki Khusiyoon Ka
Gurbat-e-Ishq Ka Har Hisaab Baanki…………!!!!
D K
Barbaadi……
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Apni Puri Zindagi Ko Unke Naam Kiya Hamne……!!
Kasam Ishq Ki Kuch Es Tarah Khud Ko Barbaad Kiya Hamne……!!
D K
Aazaad…….
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Chalo aazaad Kar Diya Hamne Bhi Aaj Tumko…..!!
Tum Bhi Ab Gila Na Karna Khud Se Kabhi…….!!
D K
Housla…..
June 25, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Na Puch Emtihaan-e-Ishq Ki Aarzoo Kitni Hai…..!!
Toota Hai Dil Mera, Magar Faryaad Ab Bhi Ishq Ki……!!
D K
Khuwaish-e-Dil……
June 25, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Kaise Kahe Wo Baatain,
Ke Dil Ezaazat Nahi Deta…..!!
Jaanat Ki Sair Ho Gai Thi,
Unke Honthoon Ko Chuum Kar……!!
D K
Usool-e-Ishq…….
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Har Shakash Be-Niyaaz Ho Jaaye…..!!
Kasam Usool Ki, Agar Ishq Be-Usool Ho Jaaye…..!!
D K
Eraada-e-Barbaadi……
June 25, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Bahut Kareeb Aate Ja Rahe Hai Wo Aaj Kal Hamare……!!
Lagta Hai Eraada-e-Barbaadi Unke Dil Main Mukkamal Ho Gai…..!!
D K
Badhaas…….
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Ab Kuch Bhi Keh Do Tum Sab Uske Bare Main Hamse…..!!
Ke Uska Hona Aur Na Hona Ek Jaisa Hi Lagta Hai Hamko…..!!
D K
Dekhli……
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Kuch Bhi Ab Baaki Na Raha Dekhne Ko Saaheb……!
Apse Mohobbat Ho Gai, Puri Kaaynaat Dekh Li……!!
D K
Apne…….
June 25, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Esliye Bhi Kabhi Kami Na Padi,
Hame Hamare Apno Ki…….!!
Ke Pehle Kuch Log Apne The,
Ab Kuch Gam Aur Tanhaai Apni Hai….!!
D K
Aazaadi……
June 25, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Hamari Maut Ab Tal Nahi Sakti Hai,
Magar Ab Dekhna Ye Hai Ki Wo Kab Aaienge…..!!
Jaunga Aaj Bhi Main Tanhaa Aur Din Ki Tarah,
Ya Wo Mujhe Aaj Tanhaai Se Aazaad Karwaienge…..!!
D K
Narajgi…..
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Aye Muskurahat Tu Na Ho Naraj Hamse…..!
Hame To Aadat Hai Gam-e-Tanhaai Ki……!!
D K
Zindagi……
June 25, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Aaj Phir Unse Nigaah Mil Gai…..!
Jaise Maano Ki Zindagi Mil Gai…..!!
D K
Shakshiyat…..
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Mere dil main koi kapat nahi,
Bas yahi ek meri galti hai….!!
Log esliye bhi katraate hai mujh se,
Ke alag hai sabse shakshiyat meri….!!
D K
Thokar…..
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Etni thokar khai es ishq main hamne….!!
Ke patther bhi kehte hai zara sambhal kar chaliye….!!
D K
Aaina…..
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Jo bhi saamne aaya,
Wo unke hi ho liye….!!
Shakshiyat kuch nahi unki,
Siway ek aaine ke logo…..!!
D K
Pehchaan…..
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Pehchaan kaha milti hai,
Es seher main ab insaano ki….!!
Har Shakash yaha per gamzada hai,
Har Insaan gulaam ishq ka….!!
D K
Dawa-e-Ishq…..
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Es ishq ki dawa jo puchi ek hakeem se….!!
Bola subah shaam bas yaadoon ka jeher piya karo….!!
D K
Sacchi……
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Hamare lavzon ki sacchi bas etni hai….!!
Tarafdaar bahut hai, magar talabgaar koi nahi…..!!
D K
Khuwaish……
June 21, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Furshat main baitha hu, Jab chaahe bula lo mujhe…..!!
Ke kabar main jaane ke baad laut pana mumkin na hoga…..!!
D K
Insaaf……
June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Kya Hoga Meri Mohobbat Ka Faisla,
Aur Kya Mujhe Chaahat Main Insaaf Milega…..!!
Ban Baitha Munseef Mera Kaatil Hi,
Mujhe Tadpaane Ki Uski Ye Chaal Bhi Khoob Hai……!!
D K
Naam-e-Ishq…..
June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Ishq Ki Baazi Jeetna Aasaan Kam Nahi,
Thora To Aap Etminaan Karo……!!
Hone Do Faislaa-e-Dil Dhang se,
Ishq Main Apna Bhi Naam Karo……!!
D K
Toodh Diya…..
June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Maykhaane Main Pahuche To Sharaab Ne Dil Tood Diya
Ek Bewafa Ne Apne Shabaab Se Dil Toodh Diya
Kaali Ghata Chaai Tanhaai Ki Dil Per Fir Se
Jab Hui Gam-e-Barsaat, To Barsaat Ne Dil Toodh Diya…..!!
D K
Riwaayat-e-Ishq…..
June 20, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Dil To Rooeiga Magar, Aankh Main ashak Na Hoga…..!!
Bas Yahi Riwaayat Hai Es Ishq Ki Logo…..!!
D K
Baith Gaye….
June 20, 2016 in हिन्दी-उर्दू कविता
Barsaat Hui Kal To Ham Sharaab Nikaal Kar Baith Gaye
Ke Yaad Main Uski Ham Ashak Nikaal Kar Baith Gaye…..!!
Dard-e-Ishq Ki Kal Phir Ham Parwaan Chadhe
Ke Yaad Mai Uski Ham Dil Nikaal Kar Baith Gaye……!!
D K
sacchi…..
June 20, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Sirf Yahi Sikha Hai Hamne Mohobbat Se Doston….!!
Riwaayat Bewafai Ki, Bafa Sirf Naam Ki Hai Esmain…..!!
D K
Asliyat…..
June 20, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Mohobbat Main Hamne Ab Tak Kya Dekha….!!
Kabhi Kaatil To Kabhi Usko Apna Habeeb Dekha…..!!
D K
Sharaab……
June 18, 2016 in शेर-ओ-शायरी
Talaash-e-Yaar Khatam Hui,
Bas Yaar-e-Ishq Hame Thora Aam Mila……!!
Mohobbat Kar Li Hamne Maykhaan se,
Har Jagah Hamko Yaar-e-Jaam Mila……!!